🇵🇰 Pakistan ka Israel ke West Bank annexation plan par sakht muzammat, beyn-ul-aqwami action ka mutalba

Islamabad: Pakistan ne Israel ke maqbooza West Bank ke ilaqon par apni “so-called sovereignty” tair karne ki koshish ki sakht alfaz mein muzammat ki hai. Israeli parliament (Knesset) mein draft law pesh kiya gaya jisme kuch maqbooza ilaqon, jin mein illegal settlements bhi shamil hain, ko Israel ka hissa banane ki tajweez di gayi hai.

Wazarat-e-Kharja (MoFA) ke jari bayan mein kaha gaya ke yeh qadam international law aur UN Security Council resolutions ki khuli khilaf warzi hai. Pakistan ne isay “provocative aur ghair qanooni” amal qarar dete hue beyn-ul-aqwami community se darkhwast ki ke woh foran aur faisla kun qadam uthayein taake is move ko roka ja sake aur Israel ko apne jari jurm aur qabzay ke liye jawabdeh banaya jaye.

Pakistan ne dobara apni purani policy ka izhar karte hue kaha ke woh apne regional aur international saathiyon ke saath mil kar Falasteeni awaam ke huqooq, khaaskar unke khud iradi (self-determination) ke haq ko barqarar rakhne ke liye koshish jari rakhega. MoFA ne dobara apni himayat dohrayi ek azad, mukammal aur mustaqil Falasteeni riyasat ke liye jo pre-1967 sarhaddon par qaim ho, aur Al-Quds Al-Sharif (Jerusalem) uska dar-ul-hukoomat ho.

Israeli Knesset ka faisla:
Israeli lawmakers ne do bills par initial voting ki — pehle bill mein Maale Adumim, ek bari Jewish settlement jahan taqriban 40,000 log rehte hain, ko annex karne ka plan hai. Dusre bill mein poore West Bank ko Israel mein shamil karne ka tajweez di gayi.

Pehla bill 32 votes se 9 ke mukable mein manzoor hua, jabke doosre par 25 lawmakers ne haan aur 24 ne na mein vote diya. Yeh dono bills ab mazeed reading ke liye parliament mein wapas laaye jayenge.

Beynal-aqwami reakshans:
Ramallah mein Falasteeni Wazarat-e-Kharja ne Knesset ke vote ko “maqbooza zameen par qabza karne ki koshish” qarar dete hue rad kar diya. Jordan ne bhi is qadam ki mazammat karte hue isay “international law ki khuli khilaf warzi aur two-state solution ke liye khatra” qarar diya.

Amreeki Secretary of State Marco Rubio ne bhi Israel ko chetawni di ke West Bank annexation se Gaza peace deal khatra mein par sakti hai. Unhone kaha ke “yeh qadam is waqt na-munasib aur aman ke amal ke liye nuqsan-deh” sabit ho sakta hai.

Qanooni aur siyasi pehlu:
International law ke mutabiq, West Bank mein tamam Israeli settlements ghair qanooni hain. Yeh tajweez na sirf Falasteen-Israel aman amal ke liye rukawat ban sakti hai, balki poore ilaqe ki stability ke liye bhi naya imtihan sabit ho sakti hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *