Supreme Court CB Head Ne 26th Constitutional Amendment Ki Himayat Kar Di”Kaun se judges is amendment se mutasir nahi hue aur is case ko sun sakte hain?” — Justice Shahid Bilal by.Maryam Nawaz

ISLAMABAD: Supreme Court ke Constitutional Bench ke Head, Justice Amin-ud-Din Khan ne 26th Constitutional Amendment ki himayat karte hue kaha, “Ye na kahen ke 26th Amendment mutanazia hai.” Ye remarks unhone us waqt diye jab woh 8-rukni bench ki sarbarahi kar rahe the jo October 2024 mein parliament se pass hone wali 26th Constitutional Amendment ke khilaf daakhil ki gayi mukhtalif petitions par sunwai kar rahi hai.

Bench mein shamil judges mein Justice Jamal Khan Mandokhail, Justice Ayesha A Malik, Justice Syed Hassan Azhar Rizvi, Justice Musarat Hilali, Justice Naeem Akhtar Afghan, aur Justice Shahid Bilal Hassan bhi shamil hain.

Takreeban teen dozen petitioners — jismein Pakistan Tehreek-e-Insaf (PTI), Jamaat-e-Islami (JI), Sunni Ittehad Council (SIC), Lahore High Court Bar Association, Lahore Bar Association, Karachi Bar Association, Supreme Court Bar Association ke sabiq 7 sarbarahaan aur mukhtalif fard bhi shamil hain — ne is amendment ko challenge kiya hai.

Senior wakeel Akram Sheikh ne apni zaati haisiyat mein court ke samne paish hote hue guzarish ki ke Supreme Court ka 24-rukni full court banaya jaye.
Unhone kaha, “Court ko mazeed judges shamil karke ‘pack’ nahi kiya jana chahiye… conflict of interest ka faisla judge khud karein.”

Unka kehna tha ke 26th Amendment ne “Aain aur aik riyasati idaray (judiciary) ko hila kar rakh diya hai.”
Sheikh ne kaha ke ummeed hai ke “Allah judges ko himmat de ke 26th Amendment ko null and void qarar dein.”

Justice Mandokhail ne jawab diya, “Ab 26th Amendment Aain ka hissa ban chuki hai, ya aap chahtay hain ke use hata diya jaye?”
Justice Amin-ud-Din ne poocha, “Aap ne koi aik bhi aaini ya qanooni point nahi diya.”
Is par Sheikh ne kaha ke kuch faislay aise hain jin ke mutabiq yeh 8 judges yeh case nahi sun sakte.

Jab unse poocha gaya ke Article 191-A ke hawalay se kya poora SC is case ko sunay, to Justice Amin ne kaha, “Agar aap samajhtay hain ke aap ko kisi aur forum pe jana hai to Chief Justice ke paas jayein.”

Justice Mandokhail ne wazahat di ke judges ke do kirdar hotay hain — aik aam judge ka aur doosra constitutional bench ka.

Is moqa par Justice Shahid Bilal Hassan ne sawaal uthaya:
“Agar aap kehte hain ke yeh 8 judges faida uthana walay hain to phir kaun se judges is amendment se mutasir nahi hue jo yeh case sun saken?”

Justice Mazhar ne poocha ke kya 24 judges ko yeh case sunna chahiye?
Akram Sheikh ne jawab diya ke “Agar kisi judge ka zameer disturbed hai to usay yeh case nahi sunna chahiye.”

Sheikh ke dalail mukammal hone ke baad petitioner Shabbar Raza Rizvi ne arguments diye aur kaha ke Practice and Procedure Committee full court bana sakti hai.
“Yeh case SC ko sunna chahiye, kisi bench ko nahi,” unka kehna tha.

Justice Mandokhail ne poocha, “Aap chahte hain 16 judges sunain ya 24?”
Rizvi ne jawab diya, “Mujhe 24 judges ke sunne par koi aitraaz nahi.”

Adalat ne phir sunwai kal (budh) subah 11:30 bajay tak ke liye mulatwa kar di.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *