
Cristiano Ronaldo, jo ab 40 saal ke ho chuke hain, ne World Cup qualifying matches mein 41 goals karke naya record banaya hai. Pehle yeh record Guatemala ke Carlos Ruiz ke paas tha jinhon ne 39 goals kiye thay.
England ne Latvia ko 5-0 se hara kar World Cup ke liye qualify kar liya hai. Yeh World Cup agle saal Canada, Mexico, aur United States mein hoga. Portugal bhi qualify karne ke qareeb tha, lekin match ke aakhri lamhat mein Hungary ke Dominik Szoboszlai ne goal karke match 2-2 se draw kar diya. Is wajah se Portugal ka qualify karna thora delay ho gaya.
Lekin ab bhi Portugal group F mein 5 points ki lead ke sath top par hai, aur unke paas next moka 13 November ko hoga jab wo Ireland ke khilaf khelenge.
Is match mein pehle Hungary ne goal kiya, lekin Ronaldo ne 22nd minute mein equalizer maara. Phir halftime se thori der pehle, usne aik aur goal karke Portugal ko lead di. Yeh unka 143rd international goal tha aur unke career ka 948th goal tha.
Ronaldo 22 saal se Portugal ke liye khel rahe hain. Unhone apni team ko Euro 2016 aur 2 dafa UEFA Nations League jeetne mein madad di. World Cup jeetne ke sab se qareeb wo 2006 mein thay, jab Portugal semi-final tak pohoncha tha, lekin France se haar gaya aur phir Germany se bhi third-place match mein haar gaya.